dard thamta hi nahin sine mein aaram ke baad
dard thamta hi nahin sine mein aaram ke baad
Mohammad Askari Arif
MORE BYMohammad Askari Arif
dard thamtā hī nahīñ siine meñ ārām ke baa'd
ham to jalte haiñ charāġhoñ kī tarah shaam ke baa'd
bas yahī soch ke aksar maiñ laraz jaatā huuñ
jaane kyā hogā mirā hashr ke hangām ke baa'd
ishq kar baiThe magar ham ne ye sochā hī nahīñ
ḳhaak ho jā.eñge ham ishq ke anjām ke baa'd
likh ke kāġhaz pe tirā naam qalam toḌ diyā
koī bhāyā hī nahīñ mujh ko tire naam ke baa'd
ġham ke sailāb meñ phir bah gayā maskan merā
chain paayā hī thā ik bārish-e-ālām ke baa'd
mire qātil ne mirī laash pe dam toḌ diyā
vo pashemāñ thā bahut qatl ke ilzām ke baa'd
ham ne sīkhā hai hunar fat.h-o-zafaryābī kā
azm apnā hai javāñ koshish-e-nākām ke baa'd
sañg-sārī-o-malāmat hue ab apne nasīb
ham to barbād hue kūcha-e-asnām ke baa'd
kyā ḳhizāñ aa.ī ki barbād huā saarā chaman
rah ga.ī āh-o-fuġhāñ gulshan-e-gulfām ke baa'd
dard thamta hi nahin sine mein aaram ke ba'd
hum to jalte hain charaghon ki tarah sham ke ba'd
bas yahi soch ke aksar main laraz jata hun
jaane kya hoga mera hashr ke hangam ke ba'd
ishq kar baiThe magar hum ne ye socha hi nahin
KHak ho jaenge hum ishq ke anjam ke ba'd
likh ke kaghaz pe tera nam qalam toD diya
koi bhaya hi nahin mujh ko tere nam ke ba'd
gham ke sailab mein phir bah gaya maskan mera
chain paya hi tha ek barish-e-alam ke ba'd
mere qatil ne meri lash pe dam toD diya
wo pasheman tha bahut qatl ke ilzam ke ba'd
hum ne sikha hai hunar fath-o-zafaryabi ka
azm apna hai jawan koshish-e-nakaam ke ba'd
sang-sari-o-malamat hue ab apne nasib
hum to barbaad hue kucha-e-asnam ke ba'd
kya KHizan aai ki barbaad hua sara chaman
rah gai aah-o-fughan gulshan-e-gulfam ke ba'd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.