dard to merī jaañ se uThtā hai
shor kyoñ āsmāñ se uThtā hai
naala jab merī jaañ se uThtā hai
shor sā āsmāñ se uThtā hai
in ḳharāshoñ pe kyā rakhūñ marham
dard zaḳhm-e-nihāñ se uThtā hai
zaḳhm de kar jo so gayā hai kahīñ
kab vo merī fuġhāñ se uThtā hai
kaise jiitā hai vo bhalā jis kā
jān-e-jāñ is jahāñ se uThtā hai
ishq ik bojh aur vo nāzuk
kab mire mehrbāñ se uThtā hai
baaqī mahfil meñ kuchh nahīñ rahtā
jān-e-mahfil jo vaañ se uThtā hai
tere uThne pe kuchh nahīñ rahtā
saaya tak sā.ebāñ se uThtā hai
dard to meri jaan se uThta hai
shor kyon aasman se uThta hai
nala jab meri jaan se uThta hai
shor sa aasman se uThta hai
in KHarashon pe kya rakhun marham
dard zaKHm-e-nihan se uThta hai
zaKHm de kar jo so gaya hai kahin
kab wo meri fughan se uThta hai
kaise jita hai wo bhala jis ka
jaan-e-jaan is jahan se uThta hai
ishq ek bojh aur wo nazuk
kab mere mehrban se uThta hai
baqi mahfil mein kuchh nahin rahta
jaan-e-mahfil jo wan se uThta hai
tere uThne pe kuchh nahin rahta
saya tak saeban se uThta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.