dard tumne diya wo thoDa tha
dard tum ne diyā vo thoḌā thā
raat ham ne hisāb joḌā thā
aaj bhī us jagah khaḌā huuñ maiñ
tum ne jaisā jahāñ pe chhoḌā thā
chāñd bādal meñ chhup gayā merā
hasrateñ saath le ke dauḌā thā
āsmāñ ḳhaak meñ milā dekhā
maut ne har ġhurūr toḌā thā
naqsh-e-pā kah rahe kahāñ manzil
kaun hai ret par jo dauḌā thā
āñsuoñ se vo tar-ba-tar niklā
maañ kā āñchal zarā nichoḌā thā
raah roke khaḌā rahā īmāñ
merī manzil meñ ye hī roḌā thā
dard tum ne diya wo thoDa tha
raat hum ne hisab joDa tha
aaj bhi us jagah khaDa hun main
tum ne jaisa jahan pe chhoDa tha
chand baadal mein chhup gaya mera
hasraten sath le ke dauDa tha
aasman KHak mein mila dekha
maut ne har ghurur toDa tha
naqsh-e-pa kah rahe kahan manzil
kaun hai ret par jo dauDa tha
aansuon se wo tar-ba-tar nikla
man ka aanchal zara nichoDa tha
rah roke khaDa raha iman
meri manzil mein ye hi roDa tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.