dard uTh uTh ke ye kahta hai rag-e-jaan ke qarib
dard uTh uTh ke ye kahtā hai rag-e-jāñ ke qarīb
abhī zindāñ meñ huuñ lekin dar-e-zindāñ ke qarīb
aag jañgal bharī nīñdoñ meñ lagāne vaale
tum bhī aanā na mire ḳhvāb-e-pareshāñ ke qarīb
ḳhushk āñkhoñ meñ tire ḳhvāb basā.ūñ kaise
koī chashma bhī zarūrī hai bayābāñ ke qarīb
sardiyoñ kī ye ḳhunuk dhuup bhī pighlāne lagī
jaise baiThā huuñ usī sho.ala-ba-dāmāñ ke qarīb
aañkh khulte hī na vo thā na charāġhāñ na ḳhumār
raat guzrī thī kisī chāñd se mehmāñ ke qarīb
Duub jaatā huuñ maiñ har sub.h ufuq meñ dil ke
shahr-e-jānāñ se pare shahr-e-ḳhamoshāñ ke qarīb
dard uTh uTh ke ye kahta hai rag-e-jaan ke qarib
abhi zindan mein hun lekin dar-e-zindan ke qarib
aag jangal bhari nindon mein lagane wale
tum bhi aana na mere KHwab-e-pareshan ke qarib
KHushk aankhon mein tere KHwab basaun kaise
koi chashma bhi zaruri hai bayaban ke qarib
sardiyon ki ye KHunuk dhup bhi pighlane lagi
jaise baiTha hun usi shoala-ba-daman ke qarib
aankh khulte hi na wo tha na charaghan na KHumar
raat guzri thi kisi chand se mehman ke qarib
Dub jata hun main har subh ufuq mein dil ke
shahr-e-jaanan se pare shahr-e-KHamoshan ke qarib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.