dard ye dil ka hamein tang kiye rahta hai
dard ye dil kā hameñ tang kiye rahtā hai
koī ḳhushbū kī tarah sang kiye rahtā hai
haa.e kyā ḳhuub musavvir hai vo uupar vaalā
phūl-pattoñ pe ka.ī rang kiye rahtā hai
pyaar se us ne banā.ī hai ye pyārī duniyā
kyoñ ye insān magar jang kiye rahtā hai
jis kī aahaT se rag-e-jāñ pe dhamak hotī hai
dil kī dhaḌkan ko vahī chang kiye rahtā hai
us ke aane se shab-o-roz mahak uThte haiñ
saare aalam ko vo ḳhush-rang kiye rahtā hai
rang hai nuur hai afshāñ haiñ charāġhāñ saare
vo tasavvur ko bhī gul-rang kiye rahtā hai
chheḌ detā hai vo jo sāz-e-mohabbat 'rinkī'
giit ġhazloñ meñ na.e rang kiye rahtā hai
dard ye dil ka hamein tang kiye rahta hai
koi KHushbu ki tarah sang kiye rahta hai
hae kya KHub musawwir hai wo upar wala
phul-patton pe kai rang kiye rahta hai
pyar se us ne banai hai ye pyari duniya
kyon ye insan magar jang kiye rahta hai
jis ki aahaT se rag-e-jaan pe dhamak hoti hai
dil ki dhaDkan ko wahi chang kiye rahta hai
us ke aane se shab-o-roz mahak uThte hain
sare aalam ko wo KHush-rang kiye rahta hai
rang hai nur hai afshan hain charaghan sare
wo tasawwur ko bhi gul-rang kiye rahta hai
chheD deta hai wo jo saz-e-mohabbat 'rinki'
git ghazlon mein nae rang kiye rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.