daricha ho ki dar uljha hua hai
darīcha ho ki dar uljhā huā hai
mirā to ghar kā ghar uljhā huā hai
badan ke pech-o-ḳham to jhel lete
qayāmat hai ki sar uljhā huā
baḌī sīdhī hai chāhat manziloñ kī
magar zauq-e-safar uljhā huā hai
na jaane kyā huā hai aadmī ko
jidhar dekho udhar uljhā huā hai
'kañval' kaTtā hai merā vaqt jis meñ
vo daftar beshtar uljhā huā hai
daricha ho ki dar uljha hua hai
mera to ghar ka ghar uljha hua hai
badan ke pech-o-KHam to jhel lete
qayamat hai ki sar uljha hua
baDi sidhi hai chahat manzilon ki
magar zauq-e-safar uljha hua hai
na jaane kya hua hai aadmi ko
jidhar dekho udhar uljha hua hai
'kanwal' kaTta hai mera waqt jis mein
wo daftar beshtar uljha hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.