dariche mein sitara jagta hai
darīche meñ sitārā jāgtā hai
mirā kamra bhī saarā jāgtā hai
samundar aur māñjhī so ga.e haiñ
samundar kā kinārā jāgtā hai
shikārī ghaat meñ baiThe hue haiñ
sarāsīma chikārā jāgtā hai
ajab bechainiyāñ phailī huī haiñ
ki shab bhar shahr saarā jāgtā hai
tumheñ mil jaa.e to us ko batānā
koī qismat kā maarā jāgtā hai
thake haare musāfir so ga.e haiñ
faqat qutbī sitārā jāgtā hai
dariche mein sitara jagta hai
mera kamra bhi sara jagta hai
samundar aur manjhi so gae hain
samundar ka kinara jagta hai
shikari ghat mein baiThe hue hain
sarasima chikara jagta hai
ajab bechainiyan phaili hui hain
ki shab bhar shahr sara jagta hai
tumhein mil jae to us ko batana
koi qismat ka mara jagta hai
thake haare musafir so gae hain
faqat qutbi sitara jagta hai
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 645)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.