dariche par diye rakhe hue hain
darīche par diye rakhe hue haiñ
añdhere kamre ko ghere hue haiñ
agar maiñ dhuup meñ tanhā khaḌā huuñ
to itne saa.e kyoñ ubhre hue haiñ
har ik insān achchhā lag rahā hai
ham apne aap se rūThe hue haiñ
dukhī hai jab se sayyādoñ kī Tolī
parindoñ se shajar lipTe hue haiñ
lage haiñ saste apne aap ko ham
nazar meñ sab kī jab mahñge hue haiñ
ye hijrat sirf hijrat hī nahīñ hai
hamārī ruuh ke TukḌe hue haiñ
dariche par diye rakhe hue hain
andhere kamre ko ghere hue hain
agar main dhup mein tanha khaDa hun
to itne sae kyon ubhre hue hain
har ek insan achchha lag raha hai
hum apne aap se ruThe hue hain
dukhi hai jab se sayyaadon ki Toli
parindon se shajar lipTe hue hain
lage hain saste apne aap ko hum
nazar mein sab ki jab mahnge hue hain
ye hijrat sirf hijrat hi nahin hai
hamari ruh ke TukDe hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.