darīda dekh kar kapḌe hamāre
udāsī ne liye bose hamāre
hamārā dil nahīñ bas sar jhukā thā
humakte rah ga.e sajde hamāre
phir ik barpā huī sahrā meñ majlis
tabarruk meñ baTe kurte hamāre
to kyā sūjhī thī ham ko ḳhud-kushī kī
sadā dene lage pañkhe hamāre
yaqīnan vasl lāzim ho gayā thā
the donoñ jism hī pyāse hamāre
darida dekh kar kapDe hamare
udasi ne liye bose hamare
hamara dil nahin bas sar jhuka tha
humakte rah gae sajde hamare
phir ek barpa hui sahra mein majlis
tabarruk mein baTe kurte hamare
to kya sujhi thi hum ko KHud-kushi ki
sada dene lage pankhe hamare
yaqinan wasl lazim ho gaya tha
the donon jism hi pyase hamare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.