darida-pairahanon mein shumar hum bhi hain
darīda-pairahanoñ meñ shumār ham bhī haiñ
bahut dinoñ se anā ke shikār ham bhī haiñ
faqat tumhīñ ko nahīñ ishq meñ ye dar-badarī
tumhārī chaah meñ gard-o-ġhubār ham bhī haiñ
chaḌhī jo dhuup to hosh-o-havās kho baiThe
jo kah rahe the shajar sāya-dār ham bhī haiñ
bulandiyoñ ke nishāñ tak na chhū sake vo log
jinheñ gumāñ thā havā pe savār ham bhī haiñ
jo ḳhasta-hālī meñ darvesh kā muqaddar thī
usī qabā kī tarah tār-tār ham bhī haiñ
darida-pairahanon mein shumar hum bhi hain
bahut dinon se ana ke shikar hum bhi hain
faqat tumhin ko nahin ishq mein ye dar-badari
tumhaari chah mein gard-o-ghubar hum bhi hain
chaDhi jo dhup to hosh-o-hawas kho baiThe
jo kah rahe the shajar saya-dar hum bhi hain
bulandiyon ke nishan tak na chhu sake wo log
jinhen guman tha hawa pe sawar hum bhi hain
jo KHasta-haali mein darwesh ka muqaddar thi
usi qaba ki tarah tar-tar hum bhi hain
- Book : Mehrab-e-ishq (Pg. 9)
- Author : Azm Shakrii
- Publication : Lamhe Lamhe Publications
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.