dariya dariya pani hai
dariyā dariyā paanī hai
jīvan ek kahānī hai
phuul khile haiñ dil meñ phir
terī yaad suhānī hai
tulsī tere āñgan kī
mere ghar kī raanī hai
joban us kā gadrāyā
rang chunar kā dhānī hai
us ko tanhā mat chhoḌo
laḌkī zaat siyānī hai
lab par us ke chup sī aur
āñkhoñ meñ tuġhyānī hai
de ke vāpas maañg liyā
tū bhī kaisā daanī hai
ḳhud se be-bahra hai jo
vo bhī ek giyānī hai
sab kā ḳhāliq mālik tū
koī na terā saanī hai
duniyā kā mat ho 'mansūr'
ye duniyā to faanī hai
dariya dariya pani hai
jiwan ek kahani hai
phul khile hain dil mein phir
teri yaad suhani hai
tulsi tere aangan ki
mere ghar ki rani hai
joban us ka gadraya
rang chunar ka dhani hai
us ko tanha mat chhoDo
laDki zat siyani hai
lab par us ke chup si aur
aankhon mein tughyani hai
de ke wapas mang liya
tu bhi kaisa dani hai
KHud se be-bahra hai jo
wo bhi ek giyani hai
sab ka KHaliq malik tu
koi na tera sani hai
duniya ka mat ho 'mansur'
ye duniya to fani hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.