dariya-e-jaan ke par utarte hue mujhe
dariyā-e-jāñ ke paar utarte hue mujhe
dekhā thā ek shaḳhs ne marte hue mujhe
kitnī tavīl-tar thī mire yaar kī galī
ik 'umr lag ga.ī hai guzarte hue mujhe
mujh ko sazā-e-maut milī hai jo 'ishq meñ
terī sazā hai dekh tū marte hue mujhe
aisā lagā ki jaise pukāre hai koī shaḳhs
aksar hī us galī se guzarte hue mujhe
haTtā nahīñ hai haa.e vo manzar nigāh se
dekhā thā jab kisī ne sañvarte hue mujhe
dariya-e-jaan ke par utarte hue mujhe
dekha tha ek shaKHs ne marte hue mujhe
kitni tawil-tar thi mere yar ki gali
ek 'umr lag gai hai guzarte hue mujhe
mujh ko saza-e-maut mili hai jo 'ishq mein
teri saza hai dekh tu marte hue mujhe
aisa laga ki jaise pukare hai koi shaKHs
aksar hi us gali se guzarte hue mujhe
haTta nahin hai hae wo manzar nigah se
dekha tha jab kisi ne sanwarte hue mujhe
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 130)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.