dariya ki be-panah rawani se Dar laga
dariyā kī be-panāh ravānī se Dar lagā
vo sag-gazīda thā use paanī se Dar lagā
chehra thā yā mazār pe katba lagā huā
dekhā jo aa.ina to javānī se Dar lagā
sar de ke bhī ham us kī hifāzat na kar sake
biite hue dinoñ kī nishānī se Dar lagā
ḳhud ko sunāne baiThe jo ham apnī dāstāñ
itnī ajiib thī ki kahānī se Dar lagā
tai kar chuke suḳhan kī bulandī to daf.atan
'iqbāl'-o-'mīr'-o-'ġhālib'-o-'fānī' se Dar lagā
dariya ki be-panah rawani se Dar laga
wo sag-gazida tha use pani se Dar laga
chehra tha ya mazar pe katba laga hua
dekha jo aaina to jawani se Dar laga
sar de ke bhi hum us ki hifazat na kar sake
bite hue dinon ki nishani se Dar laga
KHud ko sunane baiThe jo hum apni dastan
itni ajib thi ki kahani se Dar laga
tai kar chuke suKHan ki bulandi to dafatan
'iqbaal'-o-'mir'-o-'ghaalib'-o-'fani' se Dar laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.