dariya ki dastaras mein rawani ke sath sath
dariyā kī dastaras meñ ravānī ke saath saath
ik pyaas janm letī hai paanī ke saath saath
ham jaise ishq-zād bane miTTiyoñ se jab
gūñdhī ga.ī thī aag bhī paanī ke saath saath
sahrā-navard hai pe junūnī nahīñ rahā
gum ho gayā vo shaḳhs javānī ke saath saath
tahrīr karnā hai to mire saath ishq likh
matrūk lafz likhte haiñ ma.anī ke saath saath
kaisī ajiib jang laḌe jā rahe haiñ ham
ḳhud bhī khaḌe haiñ dushman-e-jānī ke saath saath
kirdār markazī huuñ maiñ is tragedy kā so
honā hai mujh ko ḳhatm kahānī ke saath saath
dariya ki dastaras mein rawani ke sath sath
ek pyas janm leti hai pani ke sath sath
hum jaise ishq-zad bane miTTiyon se jab
gundhi gai thi aag bhi pani ke sath sath
sahra-naward hai pe jununi nahin raha
gum ho gaya wo shaKHs jawani ke sath sath
tahrir karna hai to mere sath ishq likh
matruk lafz likhte hain mani ke sath sath
kaisi ajib jang laDe ja rahe hain hum
KHud bhi khaDe hain dushman-e-jaani ke sath sath
kirdar markazi hun main is tragedy ka so
hona hai mujh ko KHatm kahani ke sath sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.