dariya ki masafat ne zamin ka nahin chhoDa
dariyā kī masāfat ne zamīñ kā nahīñ chhoḌā
yak-tarfa mohabbat ne kahīñ kā nahīñ chhoḌā
sadiyoñ huī tahzīb sazā aur jazā kī
ik sajda-e-sarmast ne diiñ kā nahīñ chhoḌā
tasvīr lagī rah ga.ī dīvār-e-khañDar par
jo rishta makāñ se thā makīñ kā nahīñ chhoḌā
sau ruup the vahdat meñ bhī us pāra-sifat ke
par ham ko but-e-dil ne yaqīñ kā nahīñ chhoḌā
ushshāq chale aa.e hathelī pe liye sar
vo husn-e-talab thā ki nahīñ kā nahīñ chhoḌā
mahkūm-o-tahī-dast jo haq māñgne nikle
phir taḳht bhī us taḳht-nashīñ kā nahīñ chhoḌā
jab hāthoñ se ruḳhsat huiiñ mahbūb duā.eñ
qatre ko bhī mehrāb-e-jabīñ kā nahīñ chhoḌā
dariya ki masafat ne zamin ka nahin chhoDa
yak-tarfa mohabbat ne kahin ka nahin chhoDa
sadiyon hui tahzib saza aur jaza ki
ek sajda-e-sarmast ne din ka nahin chhoDa
taswir lagi rah gai diwar-e-khanDar par
jo rishta makan se tha makin ka nahin chhoDa
sau rup the wahdat mein bhi us para-sifat ke
par hum ko but-e-dil ne yaqin ka nahin chhoDa
ushshaq chale aae hatheli pe liye sar
wo husn-e-talab tha ki nahin ka nahin chhoDa
mahkum-o-tahi-dast jo haq mangne nikle
phir taKHt bhi us taKHt-nashin ka nahin chhoDa
jab hathon se ruKHsat huin mahbub duaen
qatre ko bhi mehrab-e-jabin ka nahin chhoDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.