dariya ki rawani mere lahje mein nahin hai
dariyā kī ravānī mire lahje meñ nahīñ hai
maiñ aag huuñ paanī mire lahje meñ nahīñ hai
rakhnā hai mujhe maan haqīqat kā jahāñ meñ
so jhūTī kahānī mire lahje meñ nahīñ hai
jis darja tirī yaad meñ jaltā hai mirā dil
us darja girānī mire lahje meñ nahīñ hai
kyoñ lafz mere lab pe Thaharte haiñ abad tak
kyā naql-e-makānī mire lahje meñ nahīñ hai
chehroñ ke ḳhadd-o-ḳhāl ḳhadd-o-ḳhāl haiñ ya.anī
yādoñ kī kahānī mire lahje meñ nahīñ hai
dekhūñ to 'fidā' lafz hai ehsās kā hāsil
sochūñ to ma.ānī mire lahje meñ nahīñ hai
dariya ki rawani mere lahje mein nahin hai
main aag hun pani mere lahje mein nahin hai
rakhna hai mujhe man haqiqat ka jahan mein
so jhuTi kahani mere lahje mein nahin hai
jis darja teri yaad mein jalta hai mera dil
us darja girani mere lahje mein nahin hai
kyon lafz mere lab pe Thaharte hain abad tak
kya naql-e-makani mere lahje mein nahin hai
chehron ke KHadd-o-KHal KHadd-o-KHal hain yani
yaadon ki kahani mere lahje mein nahin hai
dekhun to 'fida' lafz hai ehsas ka hasil
sochun to maani mere lahje mein nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.