dariya mein Dub jawe ki ya chah mein paDe
dariyā meñ Duub jaave ki yā chaah meñ paḌe
ai ishq par na koī tirī raah meñ paḌe
mat pūchh jaur-e-ġham se dil-e-nā-tavāñ kā haal
bijlī to dekhī hogī kabhī kaah meñ paḌe
ik dam bhī dekh saktā nahīñ ham ko us ke paas
ḳhaak us falak ke dīda-e-bad-ḳhvāh meñ paḌe
jo dostī ke naam se rakhtā ho dushmanī
dīvāna ho jo us kī koī chaah meñ paḌe
aa jā kahīñ shitāb ki mānind-e-naqsh-e-pā
takte haiñ raah terī sar-e-rāh meñ paḌe
jalve do-chand hoveñ shab-e-māh ke abhī
us māh-rū kā aks agar maah meñ paḌe
sulge hai nīm-soḳhta jaise dhueñ ke saath
jalte haiñ yuuñ ham apnī 'hasan' aah meñ paḌe
dariya mein Dub jawe ki ya chah mein paDe
ai ishq par na koi teri rah mein paDe
mat puchh jaur-e-gham se dil-e-na-tawan ka haal
bijli to dekhi hogi kabhi kah mein paDe
ek dam bhi dekh sakta nahin hum ko us ke pas
KHak us falak ke dida-e-bad-KHwah mein paDe
jo dosti ke nam se rakhta ho dushmani
diwana ho jo us ki koi chah mein paDe
aa ja kahin shitab ki manind-e-naqsh-e-pa
takte hain rah teri sar-e-rah mein paDe
jalwe do-chand howen shab-e-mah ke abhi
us mah-ru ka aks agar mah mein paDe
sulge hai nim-soKHta jaise dhuen ke sath
jalte hain yun hum apni 'hasan' aah mein paDe
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.