dariya mein dur mauj-e-rawani ke par tha
dariyā meñ duur mauj-e-ravānī ke paar thā
kuchh tairtā huā thā jo paanī ke paar thā
yuuñ to dikhā.ī detā thā baḌh kar nuqūsh se
chhūne ga.e zarā to nishānī ke paar thā
unvān aur kuchh huā āḳhir kitāb kā
kirdār jaane kis kā kahānī ke paar thā
kis ne kise sadā.eñ dī maazī kī aaḌ meñ
jaane ye kaun yaad purānī ke paar thā
sāhil pe jaise ham to samā.at meñ ġharq the
lahje meñ is tarah vo zabānī ke paar thā
'parvez' shukr hai ki vo lafzoñ meñ zam huā
ik harf thā jo tez-ravānī ke paar thā
dariya mein dur mauj-e-rawani ke par tha
kuchh tairta hua tha jo pani ke par tha
yun to dikhai deta tha baDh kar nuqush se
chhune gae zara to nishani ke par tha
unwan aur kuchh hua aaKHir kitab ka
kirdar jaane kis ka kahani ke par tha
kis ne kise sadaen di mazi ki aaD mein
jaane ye kaun yaad purani ke par tha
sahil pe jaise hum to samaat mein gharq the
lahje mein is tarah wo zabani ke par tha
'parwez' shukr hai ki wo lafzon mein zam hua
ek harf tha jo tez-rawani ke par tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.