dariya pe barishon ka asar kuchh nahin hua
dariyā pe bārishoñ kā asar kuchh nahīñ huā
mujh par bhī sāzishoñ kā asar kuchh nahīñ huā
duniyā ne koshisheñ to bahut kiiñ magar janāb
un par sifārishoñ kā asar kuchh nahīñ huā
dil chiir kar bhī maiñ ne dikhāyā use magar
zālim pe ḳhvāhishoñ kā asar kuchh nahīñ huā
vo mere har savāl pe patthar banā rahā
nādāñ pe pursishoñ kā asar kuchh nahīñ huā
'santosh' maiñ ne DhūñDhā use har dayār meñ
par merī kāvishoñ kā asar kuchh nahīñ huā
dariya pe barishon ka asar kuchh nahin hua
mujh par bhi sazishon ka asar kuchh nahin hua
duniya ne koshishen to bahut kin magar janab
un par sifarishon ka asar kuchh nahin hua
dil chir kar bhi main ne dikhaya use magar
zalim pe KHwahishon ka asar kuchh nahin hua
wo mere har sawal pe patthar bana raha
nadan pe pursishon ka asar kuchh nahin hua
'santosh' main ne DhunDha use har dayar mein
par meri kawishon ka asar kuchh nahin hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.