dariya sahra sagar likhna
dariyā sahrā sāgar likhnā
koī achchhā manzar likhnā
jab likhne kī ḳhvāhish jaage
tum allāhu-akbar likhnā
yārab merī qismat meñ to
zamzam likhnā kausar likhnā
har insāñ kī fitrat hai ye
apne ghar ko sundar likhnā
zulmat meñ jo raah dikhā.e
us ko apnā rahbar likhnā
tere dil meñ vus.at hai to
har qatre ko sāgar likhnā
fursat ke auqāt meñ 'tal.at'
ġhazleñ apne ghar par likhnā
dariya sahra sagar likhna
koi achchha manzar likhna
jab likhne ki KHwahish jage
tum allahu-akbar likhna
yarab meri qismat mein to
zamzam likhna kausar likhna
har insan ki fitrat hai ye
apne ghar ko sundar likhna
zulmat mein jo rah dikhae
us ko apna rahbar likhna
tere dil mein wusat hai to
har qatre ko sagar likhna
fursat ke auqat mein 'talat'
ghazlen apne ghar par likhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.