dariya tha ki samundar tha wo
dariyā thā ki samundar thā vo
dhund meñ Duubā manzar thā vo
chāñd jise kahtī hai duniyā
kal shab mere dar par thā vo
dil ke badle dil le lenā
shāyad ki saudāgar thā vo
maiñ to zamīñ kī ḳhaak se bhī kam
āsmān kā aḳhtar thā vo
jāntā na thā sang-tarāshī
yuuñ kahne ko aazar thā vo
haath lagā na ek sadaf bhī
kahne ko to shanāvar thā vo
us kā sarāpā jaise surāhī
ek chhalaktā sāġhar thā vo
dilkash manzar thā bāhar se
ek khañDar sā andar thā vo
mīThī mīThī ek ḳhalish sī
aañkh se dil tak kankar thā vo
'anjum' chāñd falak par kab thā
ek chamaktā zevar thā vo
dariya tha ki samundar tha wo
dhund mein Duba manzar tha wo
chand jise kahti hai duniya
kal shab mere dar par tha wo
dil ke badle dil le lena
shayad ki saudagar tha wo
main to zamin ki KHak se bhi kam
aasman ka aKHtar tha wo
jaanta na tha sang-tarashi
yun kahne ko aazar tha wo
hath laga na ek sadaf bhi
kahne ko to shanawar tha wo
us ka sarapa jaise surahi
ek chhalakta saghar tha wo
dilkash manzar tha bahar se
ek khanDar sa andar tha wo
miThi miThi ek KHalish si
aankh se dil tak kankar tha wo
'anjum' chand falak par kab tha
ek chamakta zewar tha wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.