Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dariya the band kuze mein hum ho ke rah gae

Rahmat Ali

dariya the band kuze mein hum ho ke rah gae

Rahmat Ali

MORE BYRahmat Ali

    dariyā the band kuuze meñ ham ho ke rah ga.e

    ye kyā ki apne aap meñ kam ho ke rah ga.e

    har-vaqt garm rahte the ham ret tarah

    paanī lams milte nam ho ke rah ga.e

    chāhā ki ibtidā maiñ karūñ us dāstāñ

    likhne chalā to haath qalam ho ke rah ga.e

    ḳhāmoshiyoñ meñ gum huī dil har ek choT

    guzrā vo ġham ki paikar-e-ġham ho ke rah ga.e

    uljhā hai zindagī ke masā.il se aadmī

    vīrān saare dair-o-haram ho ke rah ga.e

    'rahmat' na Dūbne se bachāyā koī hameñ

    nazzārgī lahroñ meñ zam ho ke rah ga.e

    dariya the band kuze mein hum ho ke rah gae

    ye kya ki apne aap mein kam ho ke rah gae

    har-waqt garm rahte the hum ret ki tarah

    pani ka lams milte hi nam ho ke rah gae

    chaha ki ibtida main karun us ki dastan

    likhne chala to hath qalam ho ke rah gae

    KHamoshiyon mein gum hui dil ki har ek choT

    guzra wo gham ki paikar-e-gham ho ke rah gae

    uljha hai zindagi ke masail se aadmi

    viran sare dair-o-haram ho ke rah gae

    'rahmat' na Dubne se bachaya koi hamein

    nazzargi ki lahron mein zam ho ke rah gae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now