dariyaon ka sahraon mein bahna mera qissa
dariyāoñ kā sahrāoñ meñ bahnā mirā qissa
qisse meñ koī baat na kahnā mirā qissa
thā harf-e-malāmat vo mirā kāġhzī malbūs
logoñ ne magar shauq se pahnā mirā qissa
chalne do mujhī par mirī āvāz ke nashtar
tum apnī samā.at pe na sahnā mirā qissa
poshāk badaltā rahā badlī jo kabhī rut
maiñ phir bhī barahna huuñ barahna mirā qissa
maiñ zinda huuñ tujh se tirī zebā.isheñ mujh se
ye nuur kā haala terā gahna mirā qissa
lab kholtī kaliyoñ kā qarīna tirī guftār
bātoñ kī mahak oḌhte rahnā mirā qissa
dariyaon ka sahraon mein bahna mera qissa
qisse mein koi baat na kahna mera qissa
tha harf-e-malamat wo mera kaghzi malbus
logon ne magar shauq se pahna mera qissa
chalne do mujhi par meri aawaz ke nashtar
tum apni samaat pe na sahna mera qissa
poshak badalta raha badli jo kabhi rut
main phir bhi barahna hun barahna mera qissa
main zinda hun tujh se teri zebaishen mujh se
ye nur ka haala tera gahna mera qissa
lab kholti kaliyon ka qarina teri guftar
baaton ki mahak oDhte rahna mera qissa
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 447)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.