dariyaon ke sitam se bachata rahe koi
dariyāoñ ke sitam se bachātā rahe koī
ḳhvābīda sāhiloñ ko jagātā rahe koī
sadiyoñ purānī ḳhaak se tā'mīr jism meñ
kab tak lahū kā baar uThātā rahe koī
jo log roz-o-shab ke ta'āqub meñ chal diye
vāpas unheñ safar se bulātā rahe koī
parvāz ke asiir hue mere bāl-o-par
ūñchā.iyoñ se mujh ko girātā rahe koī
kab tak ġhamoñ se chuur savāloñ kī khetiyāñ
sailāb-e-justujū se bachātā rahe koī
bīmār mausamoñ kā mudāvā muhāl hai
āñkhoñ meñ laakh rañg sajātā rahe koī
dariyaon ke sitam se bachata rahe koi
KHwabida sahilon ko jagata rahe koi
sadiyon purani KHak se ta'mir jism mein
kab tak lahu ka bar uThata rahe koi
jo log roz-o-shab ke ta'aqub mein chal diye
wapas unhen safar se bulata rahe koi
parwaz ke asir hue mere baal-o-par
unchaiyon se mujh ko giraata rahe koi
kab tak ghamon se chur sawalon ki khetiyan
sailab-e-justuju se bachata rahe koi
bimar mausamon ka mudawa muhaal hai
aankhon mein lakh rang sajata rahe koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.