dariyaon mein rahte hue pyasa to nahin hun
dariyāoñ meñ rahte hue pyāsā to nahīñ huuñ
pyāsā jo hai muddat se vo sahrā to nahīñ huuñ
kyā jāniye duniyā meñ tirī huuñ ki nahīñ bhī
rahte hue maujūd maiñ khoyā to nahīñ huuñ
vo saath mire chāñd sitārā hai falak har
ai dost shab-e-hijr meñ tanhā to nahīñ huuñ
tum vahm-o-gumāñ jaan ke anjān na honā
ik Thos haqīqat huuñ maiñ dhokā to nahīñ huuñ
chāhe to vo sāhil se kare ek ishārā
maiñ Duub rahā huuñ abhī Duubā to nahīñ huuñ
thā faisla is tark-e-vafādārī kā bāham
tum bhuul ga.e maiñ tumheñ bholā to nahīñ huuñ
hairat se bhalā kyoñ mujhe taktā hai zamāna
ai parda-e-aflāk tamāshā to nahīñ huuñ
dariyaon mein rahte hue pyasa to nahin hun
pyasa jo hai muddat se wo sahra to nahin hun
kya jaaniye duniya mein teri hun ki nahin bhi
rahte hue maujud main khoya to nahin hun
wo sath mere chand sitara hai falak har
ai dost shab-e-hijr mein tanha to nahin hun
tum wahm-o-guman jaan ke anjaan na hona
ek Thos haqiqat hun main dhoka to nahin hun
chahe to wo sahil se kare ek ishaara
main Dub raha hun abhi Duba to nahin hun
tha faisla is tark-e-wafadari ka baham
tum bhul gae main tumhein bhola to nahin hun
hairat se bhala kyon mujhe takta hai zamana
ai parda-e-aflak tamasha to nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.