dariyaon se nur liya aur miTTi ko pur-nur kiya
dariyāoñ se nuur liyā aur miTTī ko pur-nūr kiyā
hariyālī ko dhartī maañ ke māthe kā sindūr kiyā
patthar ko ākār diyā kuchh zevar-shevar laad diyā
aur phir us devī ko apnī rakshā par māmūr kiyā
sūraj taish meñ aa ke saarī fasl jalāne vaalā thā
abr kī talḳh-kalāmī ne is miTTī ko kāfūr kiyā
aazar sañg-tarāshī chhoḌ ke shīshagar ban baiThā thā
ek ajab tahrīk milī aur ḳhud ko chaknā-chūr kiyā
ek shagūfa jhūmar thā gulzār ke chanchal māthe kā
ek kalī ke murjhāne ne bāġhīcha be-nūr kiyā
rāj-kumārī bhiiḌ kī jānib muskā.ī aur lauT ga.ī
jaane kitnoñ ko lalchāyā kitnoñ ko maġhrūr kiyā
dariyaon se nur liya aur miTTi ko pur-nur kiya
hariyali ko dharti man ke mathe ka sindur kiya
patthar ko aakar diya kuchh zewar-shewar lad diya
aur phir us dewi ko apni raksha par mamur kiya
suraj taish mein aa ke sari fasl jalane wala tha
abr ki talKH-kalami ne is miTTi ko kafur kiya
aazar sang-tarashi chhoD ke shishagar ban baiTha tha
ek ajab tahrik mili aur KHud ko chakna-chur kiya
ek shagufa jhumar tha gulzar ke chanchal mathe ka
ek kali ke murjhane ne baghicha be-nur kiya
raj-kumari bhiD ki jaanib muskai aur lauT gai
jaane kitnon ko lalchaya kitnon ko maghrur kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.