darkar kuchh nahin teri mehr-o-wafa ke baad
darkār kuchh nahīñ tirī mehr-o-vafā ke baad
kuchh aur māñgtā hī nahīñ is duā ke baad
qurbān jā.ūñ aisī saḳhāvat pe maiñ huzūr
kyā chāhiye jo pūchh rahe haiñ atā ke baad
kaisā faqīr huuñ maiñ tirī bārgāh kā
kashkol toḌ detā huuñ aksar sadā ke baad
kal bhī ḳhudā se pahle adhūrī thī kā.enāt
kuchh bhī nahīñ hai aaj bhī duniyā ḳhudā ke baad
'yāsir' sitam ki naaz hai insāf par use
pūchhā mirā qusūr hai jis ne sazā ke baad
darkar kuchh nahin teri mehr-o-wafa ke baad
kuchh aur mangta hi nahin is dua ke baad
qurban jaun aisi saKHawat pe main huzur
kya chahiye jo puchh rahe hain ata ke baad
kaisa faqir hun main teri bargah ka
kashkol toD deta hun aksar sada ke baad
kal bhi KHuda se pahle adhuri thi kaenat
kuchh bhi nahin hai aaj bhi duniya KHuda ke baad
'yasir' sitam ki naz hai insaf par use
puchha mera qusur hai jis ne saza ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.