darkar tha qarar bulana paDa use
darkār thā qarār bulānā paḌā use
āvāz dī to lauT ke aanā paḌā use
maiñ kaun huuñ kahāñ se huuñ aur kis kā pyaar huuñ
bhūlā huā thā mujh ko batānā paḌā use
jaate hue sabhī se milāyā thā us ne haath
aur sab meñ maiñ bhī thā so milānā paḌā use
merī sabhī duāoñ kā mehvar vahī to thā
nā chāhte hue bhī bhulānā paḌā use
'ahmad' use batātā rahā hijr maut hai
maanā nahīñ to mar ke dikhānā paḌā use
darkar tha qarar bulana paDa use
aawaz di to lauT ke aana paDa use
main kaun hun kahan se hun aur kis ka pyar hun
bhula hua tha mujh ko batana paDa use
jate hue sabhi se milaya tha us ne hath
aur sab mein main bhi tha so milana paDa use
meri sabhi duaon ka mehwar wahi to tha
na chahte hue bhi bhulana paDa use
'ahmad' use batata raha hijr maut hai
mana nahin to mar ke dikhana paDa use
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.