darmandagi-e-ah-e-shab-gir ko kya kahiye
darmāndagī-e-āh-e-shab-gīr ko kyā kahiye
ik nāla-e-be-kas kī tāsīr ko kyā kahiye
mahrūmī-e-qismat kī kiije to shikāyat kyā
taqdīr to dushman hai taqdīr ko kyā kahiye
jis bazm meñ ulfat ko taqsīr kahā jaa.e
us bazm ko kyā kahiye taqsīr ko kyā kahiye
jo tiir ki ban jaa.e ik juzv-e-dil-e-bismil
paivast-e-rag-e-jāñ ho us tiir ko kyā kahiye
jo husn mukammal thā us zehn-e-musavvir meñ
tasvīr meñ utrā hai tasvīr ko kyā kahiye
har saañs pe TuuTe hai ik ek kaḌī phir bhī
hastī hai ki jakḌī hai zanjīr ko kyā kahiye
darmandagi-e-ah-e-shab-gir ko kya kahiye
ek nala-e-be-kas ki tasir ko kya kahiye
mahrumi-e-qismat ki kije to shikayat kya
taqdir to dushman hai taqdir ko kya kahiye
jis bazm mein ulfat ko taqsir kaha jae
us bazm ko kya kahiye taqsir ko kya kahiye
jo tir ki ban jae ek juzw-e-dil-e-bismil
paiwast-e-rag-e-jaan ho us tir ko kya kahiye
jo husn mukammal tha us zehn-e-musawwir mein
taswir mein utra hai taswir ko kya kahiye
har sans pe TuTe hai ek ek kaDi phir bhi
hasti hai ki jakDi hai zanjir ko kya kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.