darmiyan aa rahi hai nafrat kyun
darmiyāñ aa rahī hai nafrat kyuuñ
jab gale mil ga.e shikāyat kyuuñ
aadmī tum bhī aadmī ham bhī
phir huī ḳhatm ādmiyyat kyuuñ
ho gayā 'ishq aap ko shāyad
'umr is meñ na.ī musībat kyuuñ
kaun rakh paayā māl-o-daulat ko
jaane vaale se ye mohabbat kyuuñ
thak gayā hai mirā sitamgar kyā
saañs le lene kī ijāzat kyuuñ
sab kī maa.eñ bhī beTiyāñ hī thiiñ
aaj beTī banī musībat kyuuñ
aap kā she'r boltā hai 'asar'
ḳhud-satā.ī kī phir zarūrat kyuuñ
darmiyan aa rahi hai nafrat kyun
jab gale mil gae shikayat kyun
aadmi tum bhi aadmi hum bhi
phir hui KHatm aadmiyyat kyun
ho gaya 'ishq aap ko shayad
'umr is mein nai musibat kyun
kaun rakh paya mal-o-daulat ko
jaane wale se ye mohabbat kyun
thak gaya hai mera sitamgar kya
sans le lene ki ijazat kyun
sab ki maen bhi beTiyan hi thin
aaj beTi bani musibat kyun
aap ka she'r bolta hai 'asar'
KHud-satai ki phir zarurat kyun
- Book : Manzil-e-Dushwar (Urdu Poetry) (Pg. 92)
- Author : Marghoob Asar Fatmi
- Publication : Adabistan Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.