darmiyan ab muraslat kahan
darmiyāñ ab murāslāt kahāñ
vo marāsim mu'āmalāt kahāñ
baḳht meñ vo tajalliyāt kahāñ
ab vo pahle sī kā.enāt kahāñ
mehrbāñ ham pe ab hayāt kahāñ
din kahāñ din hai raat raat kahāñ
phir qazā laa.ī un ke kūche meñ
dām-e-taqdīr se najāt kahāñ
ham ko pal pal kī hai ḳhabar saarī
aap hote haiñ raat raat kahāñ
ab nigāh-e-karam huī lekin
ab vo pahle sī ḳhvāhishāt kahāñ
'sā'dī' sunte nahīñ kisī kī vo
aur phir terī baat baat kahāñ
darmiyan ab muraslat kahan
wo marasim mu'amalat kahan
baKHt mein wo tajalliyat kahan
ab wo pahle si kaenat kahan
mehrban hum pe ab hayat kahan
din kahan din hai raat raat kahan
phir qaza lai un ke kuche mein
dam-e-taqdir se najat kahan
hum ko pal pal ki hai KHabar sari
aap hote hain raat raat kahan
ab nigah-e-karam hui lekin
ab wo pahle si KHwahishat kahan
'sa'di' sunte nahin kisi ki wo
aur phir teri baat baat kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.