darmiyan apne ab wo baat nahin
darmiyāñ apne ab vo baat nahīñ
pahle jaise muāmlāt nahīñ
saarī mahfil pe hai nazar terī
merī jānib hī iltifāt nahīñ
ishq lāhaq huā to ho hī gayā
is musībat se ab najāt nahīñ
ahl-e-majlis salāmtī tum par
guftugū merī mujh se baat nahīñ
ai ḳhudā maiñ to bas yahī samjhā
maiñ nahīñ to ye kā.enāt nahīñ
aadmī kī ajiib fitrat hai
rishte haiñ aur ta'alluqāt nahīñ
jaane kis kī duā meñ huuñ shāmil
aaj rāhoñ meñ mushkilāt nahīñ
hai to hai tang rāh-e-umr-e-hayāt
laakh kahiye ki pul-sirāt nahīñ
dastakeñ de ke thak gayā 'āqib'
ab ye dil shahr-e-mumkināt nahīñ
darmiyan apne ab wo baat nahin
pahle jaise muamlat nahin
sari mahfil pe hai nazar teri
meri jaanib hi iltifat nahin
ishq lahaq hua to ho hi gaya
is musibat se ab najat nahin
ahl-e-majlis salamti tum par
guftugu meri mujh se baat nahin
ai KHuda main to bas yahi samjha
main nahin to ye kaenat nahin
aadmi ki ajib fitrat hai
rishte hain aur ta'alluqat nahin
jaane kis ki dua mein hun shamil
aaj rahon mein mushkilat nahin
hai to hai tang rah-e-umr-e-hayat
lakh kahiye ki pul-siraat nahin
dastaken de ke thak gaya 'aqib'
ab ye dil shahr-e-mumkinat nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.