darmiyan fasla nahin hota
darmiyāñ fāsla nahīñ hotā
tū agar bevafā nahīñ hotā
ishq kī Dor hī kuchh aisī hai
jis kā koī sirā nahīñ hotā
āshnā ham vafā se ho paate
vo agar bevafā nahīñ hotā
sach to ye hai kabhī burā.ī se
aadmī kā bhalā nahīñ hotā
vo na aate agar gulistāñ meñ
koī bhī gul khilā nahīñ hotā
un kitāboñ ko ham nahīñ paḌhte
jin meñ zikr aap kā nahīñ hotā
chāragar sar pakaḌ ke baiTh ga.e
dard dil se judā nahīñ hotā
tere kūche se jab guzartā huuñ
mujh ko apnā pata nahīñ hotā
darmiyan fasla nahin hota
tu agar bewafa nahin hota
ishq ki Dor hi kuchh aisi hai
jis ka koi sira nahin hota
aashna hum wafa se ho pate
wo agar bewafa nahin hota
sach to ye hai kabhi burai se
aadmi ka bhala nahin hota
wo na aate agar gulistan mein
koi bhi gul khila nahin hota
un kitabon ko hum nahin paDhte
jin mein zikr aap ka nahin hota
chaaragar sar pakaD ke baiTh gae
dard dil se juda nahin hota
tere kuche se jab guzarta hun
mujh ko apna pata nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.