darmiyan fasla rah gaya
darmiyāñ fāsla rah gayā
vo ḳhafā thā ḳhafā rah gayā
ham se ehsān utre nahīñ
sar jhukā thā jhukā rah gayā
ḳhvāhisheñ nā-mukammal rahīñ
zehn par bojh sā rah gayā
oḌh liiñ maiñ ne ḳhāmoshiyāñ
mas.ala mas.ala rah gayā
kis qadar ḳhūbsūrat ho tum
aa.ina sochtā rah gayā
vo gayā aur 'mashkūr' maiñ
duur tak dekhtā rah gayā
darmiyan fasla rah gaya
wo KHafa tha KHafa rah gaya
hum se ehsan utre nahin
sar jhuka tha jhuka rah gaya
KHwahishen na-mukammal rahin
zehn par bojh sa rah gaya
oDh lin main ne KHamoshiyan
masala masala rah gaya
kis qadar KHubsurat ho tum
aaina sochta rah gaya
wo gaya aur 'mashkur' main
dur tak dekhta rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.