darmiyan gar hain fasle koi
darmiyāñ gar haiñ fāsle koī
dil ke raste se aa mile koī
dasht hai raah meñ bahār yahāñ
gul namūne hī ko khile koī
jī meñ hai be-ruḳhī kareñ ab ham
aur ham se kare gile koī
yuuñ bhī TuuTe haiñ zūd-ranj habīb
zindagī bhar ke silsile koī
luT ga.e haiñ pahuñch ke manzil par
jo bache rah meñ qāfile koī
nā-shanāsān-e-fan se to 'shaukat'
daad māñge na le sile koī
darmiyan gar hain fasle koi
dil ke raste se aa mile koi
dasht hai rah mein bahaar yahan
gul namune hi ko khile koi
ji mein hai be-ruKHi karen ab hum
aur hum se kare gile koi
yun bhi TuTe hain zud-ranj habib
zindagi bhar ke silsile koi
luT gae hain pahunch ke manzil par
jo bache rah mein qafile koi
na-shanasan-e-fan se to 'shaukat'
dad mange na le sile koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.