darogh-e-maslahat insan ki zarurat hai
daroġh-e-maslahat insān kī zarūrat hai
ye fikr qurb-e-qayāmat nahīñ qayāmat hai
siyāh raat jo sūraj nigal ga.ī logo
agar zamīr hoñ zinda to dars-e-ibrat hai
diloñ ke taaq meñ rakkho charāġh-e-fikr-o-nazar
añdhere ghar meñ yahī raushnī kī sūrat hai
ragoñ meñ ḳhuun kī jaulāniyāñ to bar-haq haiñ
savāl ye hai ki kis ḳhuun meñ harārat hai
darogh-e-maslahat insan ki zarurat hai
ye fikr qurb-e-qayamat nahin qayamat hai
siyah raat jo suraj nigal gai logo
agar zamir hon zinda to dars-e-ibrat hai
dilon ke taq mein rakkho charagh-e-fikr-o-nazar
andhere ghar mein yahi raushni ki surat hai
ragon mein KHun ki jaulaniyan to bar-haq hain
sawal ye hai ki kis KHun mein hararat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.