darogh-go yahan paikar sabhi raunat ke
daroġh-go yahāñ paikar sabhī ra.ūnat ke
jahāñ meñ anqā hue aa.ine sadāqat ke
paḌā hai kaal tire shahr meñ to kuuch kareñ
talāsh karte haiñ gauhar kahīñ mohabbat ke
ḳhirad kī baat kahāñ māntā dil-e-nādāñ
bikhar rahe hoñ dhanak rañg jabki ulfat ke
baḌe hī pyaar se chhūte haiñ dil ke zaḳhmoñ ko
vo nok-e-ḳhār hī haiñ gul nahīñ haiñ chāhat ke
haiñ lafz-e-kohna mohabbat ḳhulūs rasm-e-vafā
na.e haiñ silsile tansīḳh buġhz-o-nafrat ke
mashām-e-jāñ meñ mahaktī hai vasl kī ḳhushbū
haiñ yaad tujh ko shab-o-roz apnī qurbat ke
ḳhirad kī sunte kahāñ haiñ junūn-e-ishq meñ log
ye dard sahte haiñ 'mīnā' jī kis qayāmat ke
darogh-go yahan paikar sabhi raunat ke
jahan mein anqa hue aaine sadaqat ke
paDa hai kal tere shahr mein to kuch karen
talash karte hain gauhar kahin mohabbat ke
KHirad ki baat kahan manta dil-e-nadan
bikhar rahe hon dhanak rang jabki ulfat ke
baDe hi pyar se chhute hain dil ke zaKHmon ko
wo nok-e-KHar hi hain gul nahin hain chahat ke
hain lafz-e-kohna mohabbat KHulus rasm-e-wafa
nae hain silsile tansiKH bughz-o-nafrat ke
masham-e-jaan mein mahakti hai wasl ki KHushbu
hain yaad tujh ko shab-o-roz apni qurbat ke
KHirad ki sunte kahan hain junun-e-ishq mein log
ye dard sahte hain 'mina' ji kis qayamat ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.