darogh-goi ki fitrat ko aag lag jae
daroġh-goī kī fitrat ko aag lag jaa.e
tumhārī doġhlī sūrat ko aag lag jaa.e
na jaane kitne hī logoñ ko maar Daalā hai
ḳhudā kare ki mohabbat ko aag lag jaa.e
faqīr-e-shahr ko fāqa-kashī ne maar diyā
amīr-e-shahr kī daulat ko aag lag jaa.e
kahīñ mile jo vafā to ḳharīd kar rakh lo
na jaane kab yahāñ qīmat ko aag lag jaa.e
ma.āl-e-ḳhuftagī dekho ye qaum chīḳh rahī
zahīn fikr kī ġhaflat ko aag lag jaa.e
haqīr samjhe sabhī ko zalīl kartā phire
anā-parast kī shohrat ko aag lag jaa.e
badal sake na adāvat ko jo uḳhuvvat se
to aise logoñ kī sohbat ko aag lag jaa.e
chhupā ho maqsad-e-shohrat agar bhalā.ī meñ
to aisī izzat-o-shohrat ko aag lag jaa.e
firāq-e-jānāñ se 'as.ad' kā dil huā chhalnī
dūā-e-dil hai ki hijrat ko aag lag jaa.e
darogh-goi ki fitrat ko aag lag jae
tumhaari doghli surat ko aag lag jae
na jaane kitne hi logon ko mar Dala hai
KHuda kare ki mohabbat ko aag lag jae
faqir-e-shahr ko faqa-kashi ne mar diya
amir-e-shahr ki daulat ko aag lag jae
kahin mile jo wafa to KHarid kar rakh lo
na jaane kab yahan qimat ko aag lag jae
maal-e-KHuftagi dekho ye qaum chiKH rahi
zahin fikr ki ghaflat ko aag lag jae
haqir samjhe sabhi ko zalil karta phire
ana-parast ki shohrat ko aag lag jae
badal sake na adawat ko jo uKHuwwat se
to aise logon ki sohbat ko aag lag jae
chhupa ho maqsad-e-shohrat agar bhalai mein
to aisi izzat-o-shohrat ko aag lag jae
firaq-e-jaanan se 'asad' ka dil hua chhalni
dua-e-dil hai ki hijrat ko aag lag jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.