Darta hun zindagi ke wasile nahin mile
Dartā huuñ zindagī ke vasīle nahīñ mile
āñkhoñ ko ab ke ḳhvāb rañgīle nahīñ mile
sūraj kī pyaas thī jo samundar sukhā ga.ī
ham ko rasīle hoñT bhī giile nahīñ mile
bikhrā huā milā hai har ik fard bhī vahāñ
ābād the magar vo qabīle nahīñ mile
itnī sī baat par hameñ nārāz vo milā
lauTe jo shahr se to sajīle nahīñ mile
'ārif' hamārā dil jo bujhā bujh ke rah gayā
ḳhāmosh do nayan jo nashīle nahīñ mile
Darta hun zindagi ke wasile nahin mile
aankhon ko ab ke KHwab rangile nahin mile
suraj ki pyas thi jo samundar sukha gai
hum ko rasile honT bhi gile nahin mile
bikhra hua mila hai har ek fard bhi wahan
aabaad the magar wo qabile nahin mile
itni si baat par hamein naraaz wo mila
lauTe jo shahr se to sajile nahin mile
'arif' hamara dil jo bujha bujh ke rah gaya
KHamosh do nayan jo nashile nahin mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.