Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Darta rahta hun ham-nashinon mein

Salik Lakhnavi

Darta rahta hun ham-nashinon mein

Salik Lakhnavi

MORE BYSalik Lakhnavi

    Dartā rahtā huuñ ham-nashīnoñ meñ

    ek patthar huuñ ābgīnoñ meñ

    baat karnā jinheñ nahīñ aatī

    aaj vo bhī haiñ nukta-chīnoñ meñ

    jo bhañvar ko samajhte haiñ sāhil

    aise bhī log haiñ safīnoñ meñ

    mohtasib gin le uñgliyoñ par

    chand rind haiñ kamīnoñ meñ

    ḳhizr guzre the shahr se apne

    ham bhī the ek rāh-bīnoñ meñ

    bai.at-e-haq baat kyā karte

    haath larzāñ the āstīnoñ meñ

    faiz-e-shahr-e-'anīs' se 'sālik'

    sher kahte haiñ in zamīnoñ meñ

    Darta rahta hun ham-nashinon mein

    ek patthar hun aabginon mein

    baat karna jinhen nahin aati

    aaj wo bhi hain nukta-chinon mein

    jo bhanwar ko samajhte hain sahil

    aise bhi log hain safinon mein

    mohtasib gin le ungliyon hi par

    chand hi rind hain kaminon mein

    KHizr guzre the shahr se apne

    hum bhi the ek rah-binon mein

    baiat-e-haq ki baat kya karte

    hath larzan the aastinon mein

    faiz-e-shahr-e-'anis' se 'salik'

    sher kahte hain in zaminon mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now