Darte the usi sabza-e-abai se pahle
Darte the usī sabza-e-ābā.ī se pahle
chehre pe maseñ phuuT paḌīñ kaa.ī se pahle
phir āñkhoñ ne taḳhlīq ke sāmān juTā.e
ham tujh se mile the tirī ra.anā.ī se pahle
sunte haiñ shuā.eñ haiñ sadāoñ se subuk-gām
bīnā.ī chalī jaatī hai goyā.ī se pahle
aur ab tirī parchhā.īñ ke charche haiñ sabhī or
kyā dhuup khilī thī tirī añgḌā.ī se pahle
pachchhim kī havā le ga.ī pachchhim se hameñ duur
pūrab kī taraf uḌte the pubā.ī se pahle
himmat se sivā taab nadāmat meñ hai yaaro
ham Duub ga.e paanī kī gahrā.ī se pahle
Darte the usi sabza-e-abai se pahle
chehre pe masen phuT paDin kai se pahle
phir aankhon ne taKHliq ke saman juTae
hum tujh se mile the teri ranai se pahle
sunte hain shuaen hain sadaon se subuk-gam
binai chali jati hai goyai se pahle
aur ab teri parchhain ke charche hain sabhi or
kya dhup khili thi teri angDai se pahle
pachchhim ki hawa le gai pachchhim se hamein dur
purab ki taraf uDte the pubai se pahle
himmat se siwa tab nadamat mein hai yaro
hum Dub gae pani ki gahrai se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.