darun-e-dil jo charagh jalte rahe musalsal
darūn-e-dil jo charāġh jalte rahe musalsal
haiñ un se āñkhoñ meñ nuur ke silsile musalsal
kahīñ pe marte haiñ bhuuk se kuchh yatīm bachche
kahīñ pe kaase haiñ sā.iloñ ke bhare musalsal
mirī udāsī pe is tarah tū udaas mat ho
ki zaḳhm rahte nahīñ haiñ aksar hare musalsal
vo ḳhvāb āñkhoñ meñ bhar sake yā unheñ gañvā de
vo apne Dar pe to baat khul kar kare musalsal
kabhī ḳhushī meñ bhī ashk āñkhoñ meñ aa ga.e aur
kahīñ udāsī meñ muskurānā paḌe musalsal
ye us kī zid meñ 'an.amatā' nīñdoñ se laḌ paḌī thiiñ
ham apnī āñkhoñ se der tak shab laḌe musalsal
darun-e-dil jo charagh jalte rahe musalsal
hain un se aankhon mein nur ke silsile musalsal
kahin pe marte hain bhuk se kuchh yatim bachche
kahin pe kase hain sailon ke bhare musalsal
meri udasi pe is tarah tu udas mat ho
ki zaKHm rahte nahin hain aksar hare musalsal
wo KHwab aankhon mein bhar sake ya unhen ganwa de
wo apne Dar pe to baat khul kar kare musalsal
kabhi KHushi mein bhi ashk aankhon mein aa gae aur
kahin udasi mein muskurana paDe musalsal
ye us ki zid mein 'anamata' nindon se laD paDi thin
hum apni aankhon se der tak shab laDe musalsal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.