darun-e-halqa-e-zanjir hun main
darūn-e-halqa-e-zanjīr huuñ maiñ
shikasta ḳhvāb kī ta.abīr huuñ maiñ
mujhe hairat se yuuñ vo tak rahā hai
ki jaise maiñ nahīñ tasvīr huuñ maiñ
mirī bāteñ to zahrīlī bahut haiñ
magar tiryāk kī tāsīr huuñ maiñ
maiñ zinda huuñ hisār-e-behisī meñ
mohabbat kī na.ī tafsīr huuñ maiñ
ik aa.ina bhī huuñ aur aks bhī huuñ
ki shahr-e-sañg kā rah-gīr huuñ maiñ
namāz-e-shab kā sajda huuñ 'tasavvur'
azān-e-sub.h kī takbīr huuñ maiñ
darun-e-halqa-e-zanjir hun main
shikasta KHwab ki tabir hun main
mujhe hairat se yun wo tak raha hai
ki jaise main nahin taswir hun main
meri baaten to zahrili bahut hain
magar tiryak ki tasir hun main
main zinda hun hisar-e-behisi mein
mohabbat ki nai tafsir hun main
ek aaina bhi hun aur aks bhi hun
ki shahr-e-sang ka rah-gir hun main
namaz-e-shab ka sajda hun 'tasawwur'
azan-e-subh ki takbir hun main
- Book : Seepiyon Ki Qaid men
- Author : Yaqoob Tasawwur
- Publication : Yaqoob Tasawwur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.