darun-e-ishq ajab tana-bana banta hai
darūn-e-ishq ajab tānā-bānā bantā hai
zarā sī baat kā kitnā fasāna bantā hai
miyāñ ye shāḳh-e-mohabbat tumhāre sāmne hai
banāo us pe agar āshiyāna bantā hai
hamāre dard paḌe haiñ chahār samt yahāñ
so muskurāo yahāñ muskurānā bantā hai
chhupā.e phirtā huuñ āñkhoñ meñ ashk ke motī
ki jam.a karne se daulat ḳhazāna bantā hai
ye dasht hai yahāñ dīvāngī zarūrī hai
har ek shaḳhs junūñ kā nishāna bantā hai
mirī vafāoñ ko ab e.atibār hāsil hai
so us ke ghar meñ mirā ānā-jānā bantā hai
tumhāre jaisī hai us ke mizāj meñ shoḳhī
ye rang merī nazar meñ uḌānā bantā hai
use batāte haiñ 'ġhālib' ke rishta-dār haiñ ham
hamāre sāmne jo bhī 'yagānā' bantā hai
rahī hoñ pāñch chhe pushteñ darūn-e-dasht tabhī
mire aziiz junūñ kā gharānā bantā hai
darun-e-ishq ajab tana-bana banta hai
zara si baat ka kitna fasana banta hai
miyan ye shaKH-e-mohabbat tumhaare samne hai
banao us pe agar aashiyana banta hai
hamare dard paDe hain chahaar samt yahan
so muskurao yahan muskurana banta hai
chhupae phirta hun aankhon mein ashk ke moti
ki jama karne se daulat KHazana banta hai
ye dasht hai yahan diwangi zaruri hai
har ek shaKHs junun ka nishana banta hai
meri wafaon ko ab eatibar hasil hai
so us ke ghar mein mera aana-jaana banta hai
tumhaare jaisi hai us ke mizaj mein shoKHi
ye rang meri nazar mein uDana banta hai
use batate hain 'ghaalib' ke rishta-dar hain hum
hamare samne jo bhi 'yagana' banta hai
rahi hon panch chhe pushten darun-e-dasht tabhi
mere aziz junun ka gharana banta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.