darun-e-jism ek tufan uTha tha
darūn-e-jism ik tūfāñ uThā thā
jo dekhā duur tak malba paḌā thā
musalsal dhuul se jaise aTā thā
hameñ to āsmāñ sahrā lagā thā
na us shab chāñd ubhrā aur na taare
hamārā hijr to tanhā kaTā thā
jo tum bichhḌe to ḳhud ko chhoḌ aa.e
hamārī dastaras meñ aur kyā thā
na utrī chāñdnī na roī shabnam
ajab ik dhund kā mausam banā thā
musalsal uljhanoñ meñ vo ghirā thā
mujhe vo shaḳhs kab tanhā milā thā
kuredā kyā utar aa.ī namī sī
vo sahrā hī abhī shāyad nayā thā
uḌaa.ī dhuul ḳhvāboñ meñ musalsal
mirī āñkhoñ meñ ik vahshat-kada thā
javāz is meñ ḳhushī kā kyā hai 'tārā'
ba-sad mahrūmī vo tujh se milā thā
darun-e-jism ek tufan uTha tha
jo dekha dur tak malba paDa tha
musalsal dhul se jaise aTa tha
hamein to aasman sahra laga tha
na us shab chand ubhra aur na tare
hamara hijr to tanha kaTa tha
jo tum bichhDe to KHud ko chhoD aae
hamari dastaras mein aur kya tha
na utri chandni na roi shabnam
ajab ek dhund ka mausam bana tha
musalsal uljhanon mein wo ghira tha
mujhe wo shaKHs kab tanha mila tha
kureda kya utar aai nami si
wo sahra hi abhi shayad naya tha
uDai dhul KHwabon mein musalsal
meri aankhon mein ek wahshat-kada tha
jawaz is mein KHushi ka kya hai 'tara'
ba-sad mahrumi wo tujh se mila tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.