darun-e-KHana-e-dil koi hao-hu nahin hai
darūn-e-ḳhāna-e-dil koī hāo-hū nahīñ hai
ragoñ meñ dauḌtā phirtā hai kuchh lahū nahīñ hai
maiñ din ko raat likhkhūñ aur siyāh raat ko din
munāfiqat to miyāñ shā.iroñ kī ḳhū nahīñ hai
ye apnī jaan bhī maiñ tum pe vaar saktā huuñ
ye sachchī baat hai is meñ koī ġhulū nahīñ hai
mire liye yahī kaafī hai tū mayassar hai
so ab mazīd mujhe koī aarzū nahīñ hai
ye baat mujh pe bahut der meñ khulī hai 'vasīm'
ki mere qad ke barābar mirā adū nahīñ hai
darun-e-KHana-e-dil koi hao-hu nahin hai
ragon mein dauDta phirta hai kuchh lahu nahin hai
main din ko raat likhkhun aur siyah raat ko din
munafiqat to miyan shairon ki KHu nahin hai
ye apni jaan bhi main tum pe war sakta hun
ye sachchi baat hai is mein koi ghulu nahin hai
mere liye yahi kafi hai tu mayassar hai
so ab mazid mujhe koi aarzu nahin hai
ye baat mujh pe bahut der mein khuli hai 'wasim'
ki mere qad ke barabar mera adu nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.