darun-e-KHana rahe garmi-e-safar mein rahe
darūn-e-ḳhāna rahe garmī-e-safar meñ rahe
jahāñ rahe vo sadā gardish-e-ḳhabar meñ rahe
siyāh ret hayūle dhuāñ dhuāñ taare
ye ijtimā mirī chashm-e-mo'atabar meñ rahe
masāfatoñ kī sa.ūbat pe aable haiñ gavāh
magar ye kyā ki ham apne hī bām-o-dar meñ rahe
sulagtī raat ne āñkhoñ se niiñd chhīn lī hai
koī to ḳhvāb kā manzar mirī sahar meñ rahe
darun-e-KHana rahe garmi-e-safar mein rahe
jahan rahe wo sada gardish-e-KHabar mein rahe
siyah ret hayule dhuan dhuan tare
ye ijtima meri chashm-e-mo'atabar mein rahe
masafaton ki saubat pe aable hain gawah
magar ye kya ki hum apne hi baam-o-dar mein rahe
sulagti raat ne aankhon se nind chhin li hai
koi to KHwab ka manzar meri sahar mein rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.