darun-e-KHwab koi shakl muskuraati hai
darūn-e-ḳhvāb koī shakl muskurātī hai
maiñ chup rahūñ to mire saath gungunātī hai
qazā se uljhe hue sogvār hāthoñ meñ
hamāre naam kī mehñdī lagā.ī jaatī hai
ye ruḳhsatī kā samay bhī ajab hai āḳhir-e-shab
ki chūḌiyoñ kī khanak aur baḌhtī jaatī hai
jamāl aur kisī kā hai mere chehre par
badan meñ aur koī ruuh tilmilātī hai
ye raat sahmī sisaktī huī dulhan kī tarah
lipaTtī jaatī hai sharminda hotī jaatī hai
darun-e-KHwab koi shakl muskuraati hai
main chup rahun to mere sath gungunati hai
qaza se uljhe hue sogwar hathon mein
hamare nam ki mehndi lagai jati hai
ye ruKHsati ka samay bhi ajab hai aaKHir-e-shab
ki chuDiyon ki khanak aur baDhti jati hai
jamal aur kisi ka hai mere chehre par
badan mein aur koi ruh tilmilati hai
ye raat sahmi sisakti hui dulhan ki tarah
lipaTti jati hai sharminda hoti jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.