darun-e-mai-kada kis darja hasrat-rez hai saqi
darun-e-mai-kada kis darja hasrat-rez hai saqi
Qazi Ghulam Mohammad
MORE BYQazi Ghulam Mohammad
darūn-e-mai-kadā kis darja hasrat-rez hai saaqī
jo gard-ālūd kursī hai to TuuTī mez hai saaqī
na kyoñ hūr-e-jināñ ke zikr se mahzūz ho vaa.iz
ye us ke tausan-e-dil ke liye mahmez hai saaqī
mire auqāt-e-girya Time Table par muqarrar haiñ
ye banda ishq ke baare meñ bhī añgrez hai saaqī
jalā kar rakh diyā hai us ne shahr-e-ārzū merā
tirā darbān aslī vāris-e-chañgez hai saaqī
zarā is ūñghte mai-kash kī ik bharpūr chuTkī le
gulābī nāḳhun-e-tadbīr terā tez hai saaqī
vo mere do na.e paise hī apne purse meñ rakh le
ki us ke sabr kā paimāna ab labrez hai saaqī
raqīb-e-rū-siyah sar phoḌ legā kohkan ban kar
tirā shauhar ḳhudā ke fazl se parvez hai saaqī
mirā hissa mujhe chhup kar hī mil jaa.e to behtar hai
gadā-e-mai-kada ġhairoñ se kam-āmez hai saaqī
darun-e-mai-kada kis darja hasrat-rez hai saqi
jo gard-alud kursi hai to TuTi mez hai saqi
na kyon hur-e-jinan ke zikr se mahzuz ho waiz
ye us ke tausan-e-dil ke liye mahmez hai saqi
mere auqat-e-girya Time Table par muqarrar hain
ye banda ishq ke bare mein bhi angrez hai saqi
jala kar rakh diya hai us ne shahr-e-arzu mera
tera darban asli waris-e-changez hai saqi
zara is unghte mai-kash ki ek bharpur chuTki le
gulabi naKHun-e-tadbir tera tez hai saqi
wo mere do nae paise hi apne purse mein rakh le
ki us ke sabr ka paimana ab labrez hai saqi
raqib-e-ru-siyah sar phoD lega kohkan ban kar
tera shauhar KHuda ke fazl se parwez hai saqi
mera hissa mujhe chhup kar hi mil jae to behtar hai
gada-e-mai-kada ghairon se kam-amez hai saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.