darun-e-wadi-e-shab aks-e-aftab to ho
darūn-e-vādī-e-shab 'aks-e-āftāb to ho
ki injimād meñ tahrīk-e-inqalāb to ho
hayāt kī koī taujīh tab hī Thiik lage
har ik javāz ke pīchhe koī kitāb to ho
tire junūñ ko koī jiht bhī milegī zarūr
jo tere azm kī muTThī meñ koī ḳhvāb to ho
'ajab mizāj hai radd-o-qubūl kā apnā
koī nazar koī me’yār-e-intiḳhāb to ho
sab apnī zaat ke mahbas meñ band rahte haiñ
koī darīcha koī raah koī baab to ho
samundaroñ se bhī tishna-labī ubhartī hai
koī to vaj.h-e-tasallī sahī sarāb to ho
samā'atoñ ne bahut shor sun liyā 'sarshār'
koī latīf sā naġhma koī rabāb to ho
darun-e-wadi-e-shab 'aks-e-aftab to ho
ki injimad mein tahrik-e-inqalab to ho
hayat ki koi taujih tab hi Thik lage
har ek jawaz ke pichhe koi kitab to ho
tere junun ko koi jiht bhi milegi zarur
jo tere azm ki muTThi mein koi KHwab to ho
'ajab mizaj hai radd-o-qubul ka apna
koi nazar koi me’yar-e-intiKHab to ho
sab apni zat ke mahbas mein band rahte hain
koi daricha koi rah koi bab to ho
samundaron se bhi tishna-labi ubharti hai
koi to wajh-e-tasalli sahi sarab to ho
sama'aton ne bahut shor sun liya 'sarshaar'
koi latif sa naghma koi rabab to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.